Ye Daur Mujhse KHirad Ka Waqar Mange Hai
ye daur mujh se KHirad ka waqar mange hai
dil ab bhi shauq ke lail-o-nahaar mange hai
jahan mein kis ko gawara hui hai fikr ki dhup
har ik, koi shajar-e-saya-dar mange hai
zaban lala-o-gul mein basi hui hai magar
zamana lafz mein KHanjar ki dhaar mange hai
akele-pan ka ye ehsas ham-nafas ki talash
baDhi hui jo ye talKHi hai pyar mange hai
ye aadmi mere KHwabon ka sath kya deta
haqiqaton se jo akasr farar mange hai
ab in mein apna lahu ho ki koi shoKH kiran
waraq jo sada hai naqsh-o-nigar mange hai
hua kahan abhi sadiyon ke jabr se aazad
KHudai par jo bashar iKHtiyar mange hai
bhikariyon ko yahan bhik kaun deta hai
hai sada-lauh jo duniya se pyar mange hai
wo dida-war jise pahchanti nahin mahfil
teri nazar se faqat e'tibar mange hai
(1651) Peoples Rate This