Wo Ehtiyat Ke Mausam Badal Gae Kaise
wo ehtiyat ke mausam badal gae kaise
charagh dil ke andhere mein jal gae kaise
bana diya tha zamane ne barf ke manind
hum ek shoKH kiran se pighal gae kaise
umid jin se thi waz-e-junun nibhane ki
wo log waqt ke sanche mein Dhal gae kaise
sitare jazb hue gard-e-rah mein kya kya
KHayal-o-KHwab ke aain badal gae kaise
KHizan se jin ko bacha lae the jatan kar ke
wo naKHl ab ke bahaaron mein jal gae kaise
na jaane kyun jinhen samjhe the hum farishte hain
qarib aae to chehre badal gae kaise
har ek saya-e-diwar ki lapeT mein hai
'surur' aap hi bach kar nikal gae kaise
(1666) Peoples Rate This