Tu Payambar Sahi Ye Moajiza Kafi To Nahin
tu payambar sahi ye moajiza kafi to nahin
shairi zist ke zaKHmon ki talafi to nahin
saya-e-gul mein zara der jo sustae hain
saya-e-dar se ye wada-KHilafi to nahin
apni duniya se mili fursat-e-yak-jast hamein
aasman ke liye ek jast hi kafi to nahin
kisi chaDhte hue suraj ki parastish na karo
dekh lo is mein koi shoabada-bafi to nahin
tishnagi hum ko mili tum hue sairab to kya
in muqaddar ki sazaon se muafi to nahin
dew-mala ka dhundlaka ho ki KHwabon ki kiran
aaj ki aaina-sazi ki munafi to nahin
KHwab Takrao haqiqat se ki shoale niklen
is andhere mein diya ek hi kafi to nahin
(1710) Peoples Rate This