Siyah Raat Ki Sab Aazmaishen Manzur
siyah raat ki sab aazmaishen manzur
kisi sahar ke ujale ka aasra to mila
nazar mila na sake hum se wo to gham kya hai
ki dil se dil ke dhaDakne ka silsila to mila
hai aaj aur hi kuchh zulf-e-tabdar mein KHam
bhaTakne wale ko manzil ka rasta to mila
sarishk-e-chashm se moti bahut luTae gae
teri nigah ke shahidon ko KHun-baha to mila
jahan nigah se insan banae jate hain
wo bab-e-mai-kada mere liye khula to mila
sitam-zarif mohabbat ko jurm kahte hain
gunah-gar ko jine ka aasra to mila
na rahnuma hai na manzil dayar-e-ulfat mein
qadam uThate hi KHizr-e-shikasta-pa to mila
mere junun ne khilae hain phul sahra mein
mere junun se bahaaron ko hausla to mila
samajhte the ki wafa-na-shanas hai duniya
'surur' hum ko bhi ek dard-ashna to mila
(1981) Peoples Rate This