Shaguftagi-e-dil-e-viran Mein Aaj Aa Hi Gai
shaguftagi-e-dil-e-viran mein aaj aa hi gai
ghaTa chaman pe bahaaron ko le ke chha hi gai
hayat-e-taza ke KHatron se dil dhaDakta tha
hawa chali to kali phir bhi muskura hi gai
naqab mein bhi wo jalwe na qaid ho pae
kiran dilon ke andhere ko jagmaga hi gai
taghaful ek bharam tha ghurur-e-jaanan ka
meri nigah-e-mohabbat ka ramz pa hi gai
mutalbe to bahut saKHt the zamane ke
magar huquq-e-mohabbat ki yaad aa hi gai
mere junun ki KHalish se ab aur kya hota
sukut-e-ahl-e-KHirad ko to aazma hi gai
mata-e-qalb-o-nazar KHak hote hote bhi
jahan-e-husn ki kuchh aabru baDha hi gai
thapak thapak ke sulaya jo tum ne zauq-e-suKHan
'surur' is ko kisi ki nazar jaga hi gai
(1758) Peoples Rate This