Nawa-e-shauq Mein Shorish Bhi Hai Qarar Bhi Hai
nawa-e-shauq mein shorish bhi hai qarar bhi hai
KHirad ka pas bhi KHwabon ka karobar bhi hai
hazar bar bahaaron ne dukh diya mujh ko
na jaane kya kya hai bahaaron ka intizar bhi hai
jahan mein ho gai na-haq teri jafa badnam
kuchh ahl-e-shauq ko dar-o-rasan se pyar bhi hai
mere lahu mein ab itna bhi rang kya hota
taraaz-e-shauq mein aks-e-ruKH-e-nigar bhi hai
mere safine ko sahil ki justuju hi nahin
sitam ye hai kisi tufan ka intizar bhi hai
chaman hi ek nahin aaina meri masti ka
gawah josh-e-junun ki zaban-e-KHar bhi hai
ghurur-e-ishq ghurur-e-wafa ghurur-e-nazar
'surur' tere gunahon ka kuchh shumar bhi hai
(1658) Peoples Rate This