Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_410c06f1a445edcd2450ec49ed553b25, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain - Aal-e-Ahmad Suroor Poetry In English - Darsaal

Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain

kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain

hum sath chale to hain magar hanp rahe hain

naron se siyasat ki haqiqat nahin chhupti

uryan hai badan lakh use Dhanp rahe hain

kya baat hai shahron mein simaT aae hain sare

jangal mein to ginti ke hi kuchh sanp rahe hain

makDi kahin makkhi ko giraftar na kar le

wo shoKH-nigahon se mujhe bhanp rahe hain

ye jhuT hai ya sach hai samajh mein nahin aata

sach bolne mein honT mere kanp rahe hain

(1708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain In English By Famous Poet Aal-e-Ahmad Suroor. Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain is written by Aal-e-Ahmad Suroor. Read famous Poem Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain for youth and Student by Aal-e-Ahmad Suroor. Free Download Kuchh Log Taghayyur Se Abhi Kanp Rahe Hain in PDF.