KHwabon Se Yun To Roz Bahalte Rahe Hain Hum
KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum
kitni haqiqaton ko badalte rahe hain hum
apne ghubar mein bhi hai wo zauq-e-sar-kashi
pamal hauke arsh pe chalte rahe hain hum
sau sau tarah se tujh ko sanwara hai husn-e-dost
sau sau tarah se rang badalte rahe hain hum
har dasht-o-dar mein phul khilane ke waste
akasr to nok-e-KHar pe chalte rahe hain hum
aain-e-pasdari-e-sahra na chhuT saka
waz-e-junun agarche badalte rahe hain hum
saqi na multafit ho to pina haram hai
pyase bhi mai-kade se nikalte rahe hain hum
koi KHalil jis ko na gulzar kar saka
tere liye is aag pe chalte rahe hain hum
kya jaane kab wo subh-e-bahaaran ho jalwa-gar
daur-e-KHizan mein jis se bahalte rahe hain hum
pursan-e-haal kab hui wo chashm-e-be-niyaz
jab bhi gire hain KHud hi sambhalte rahe hain hum
sahil ki ishraton ko KHabar bhi na ho saki
tufan ban ke lakh machalte rahe hain hum
taKHil-e-lala-kar ye kahti hai ai 'surur'
koi zamin ho phulte-phalte rahe hain hum
(1821) Peoples Rate This