Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc95227bcc91b1a1f19328de59159d1f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai - Aagha Akbarabadi Poetry In English - Darsaal

Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai

wo kahte hain uTTho sahar ho gai

azan ho gai top-sar ho gai

gale se milo ab to bahr-e-KHuda

taDapte mujhe raat bhar ho gai

ilahi hua jazb-e-ulfat ko kya

meri aah kyun be-asar ho gai

zamana to ai jaan bargashta tha

tumhaari bhi tirchhi nazar ho gai

hue sar kaTane ko tayyar hum

jo wan tegh zeb-e-kamar ho gai

dikhai mujhe kis liye sham-e-hijr

shab-e-wasl ki kyun sahar ho gai

mila wasl mein bhi na 'agha' ko chain

shikayat mein shab bhar basar ho gai

(1811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Wo Kahte Hain UTTho Sahar Ho Gai in PDF.