Tere Jalal Se KHurshid Ko Zawal Hua
tere jalal se KHurshid ko zawal hua
tere jamal se mahtab ko kamal hua
KHiram-e-naz mein un ko ye kab KHayal hua
ki dil kisi ka pisa koi paemal hua
shabab se teri rangat ka turfa haal hua
sapid joDa jo pahna badan mein lal hua
jo wasl-e-yar ki tadbir ki visal hua
KHayal aish ka aaya to ek malal hua
hilal badar hua badar se hilal hua
yahan kamal kisi ka na be-zawal hua
hazaron saikDon paida hue hue napaid
na ek dam bhi zamane ko e'tidal hua
raqib qatl hua us ki tegh-e-abru se
haram-zada tha achchha hua halal hua
buton ka zulm kisi ne suna na mahshar mein
KHuda se bhi mera jhagDa na infisal hua
kiye hain KHun se kisi ke ye dast-o-pa rangin
shikar taza koi aaj kya halal hua
jalaya mujh ko to tujh ko bhi lag gaya dhabba
jigar pe dagh mere ruKH pe tere KHal hua
jo main junun mein gaya su-e-dasht ai 'agha'
to mujh ko dekh ke diwana har ghazal hua
(1825) Peoples Rate This