Shiddat-e-zat Ne Ye Haal Banaya Apna
shiddat-e-zat ne ye haal banaya apna
jism-e-majnun mein hua tang shaloka apna
yar banta nahin wo nur ka putla apna
KHak mein mil gaya tasKHir ka dawa apna
mai-kashon mein na koi mujh sa namazi hoga
dar-e-mai-KHana pe bichhta hai musalla apna
wasl ki raat bahut tul hua aaKHir-kar
muKHtasar ye hai ki faisal hua qissa apna
gul khila kar abhi bulbul ko jalaun kya kya
wo inayat karen gar por ka chhalla apna
rabbi-areni ki sada ho bhi to but bol uThen
aap dikhlaen agar dair mein jalwa apna
aaina-KHana mein chal baiThiye do-chaar ghaDi
dekhna howe jo manzur tamasha apna
jite-ji KHwesh-o-aqarib the pas-e-marg afsos
KHak mein dab diya koi na samjha apna
kisi sayyaad ki paD jae na chiDiya pe nazar
aap sarkaen na mahram se dupaTTa apna
aap sau bar ukhaD jaen nahin kuchh parwa
jam gaya ek pari-zad se naqsha apna
dam-e-mahram mein phansaya hai KHuda KHair kare
aashiyana na bana baiThe ye chiDiya apna
garm-KHwabi ne teri zabh kiya ai qatil
ek dam bhi na kaleja hua ThanDa apna
rind-mashrab hain kisi se hamein kuchh kaam nahin
dair apna hai na kaba na kalisa apna
hai wahi sar wahi sauda wahi josh-e-wahshat
wasl tabdil hui rang na badla apna
un ki zulfon ko ye dawa hai ki hum kale hain
hum ne bachte nahin dekha kabhi mara apna
ghair se rakhiye na imdad ki ummid 'agha'
kaam aata hai meri jaan bharosa apna
(1982) Peoples Rate This