Sarw-qad Lala-ruKH O Ghuncha-dahan Yaad Aaya
sarw-qad lala-ruKH o ghuncha-dahan yaad aaya
phir bahaar aai mujhe lutf-e-chaman yaad aaya
go ki thi saltanat-e-misr magar aaKHir-e-kar
is hukumat pe bhi yusuf ko watan yaad aaya
rag-e-gul par hai kabhi aur kabhi ghunche pe nigah
bagh mein kis ki kamar kis ka dahan yaad aaya
safar-e-mulk-e-adam ki hui aisi ujlat
zad-e-rah kuchh na ba-juz gor-o-kafan yaad aaya
sohbat-e-lala-ruKHan ahd-e-shabab-o-shab-e-wasl
mai-e-kohna jo mili dagh-e-kuhan yaad aaya
jab se aaya hai nazar ye tera husn-e-be-dagh
kabk ko mah na bulbul ko chaman yaad aaya
tere saudai ko phir josh hua wahshat ka
qaidi-e-zulf ko phir tauq-o-rasan yaad aaya
pan kha kar jo ugal aap ne thuka sahab
jauhari mahw hue lal-e-yaman yaad aaya
baad muddat ke talab aap ne bande ko kiya
shukr-sad-shukr main ai mushfiq-e-man yaad aaya
fasl-e-gul aate hi 'agha' ne bhi wahshat ki li
kaisi ye chaal chala kis ka chalan yaad aaya
(1732) Peoples Rate This