Numud-e-qudrat-e-parwardigar Hum Bhi Hain
numud-e-qudrat-e-parwardigar hum bhi hain
natija-e-chaman-e-rozgar hum bhi hain
sharik-e-sohbat-e-aghyar-o-yar hum bhi hain
gulon mein gul hain to KHaron mein KHar hum bhi hain
muqabil-e-chaman-e-lala-zar hum bhi hain
jigar ke daghon se rashk-e-bahaar hum bhi hain
karo hijab na hum se alag alag na phiro
idhar bhi aao ki yaron ke yar hum bhi hain
wo kahte hain ki bila-shak hai dil ko dil se rah
tumhaari tarah se ab be-qarar hum bhi hain
udhaar bhi hamein mil jati hai mai-e-gul-rang
kalal-KHane mein zi-e'tibar hum bhi hain
KHizan ka daKHl nahin hai hamare gulshan mein
bisan-e-sarw hamesha bahaar hum bhi hain
KHuda wo din to dikhae hamein samajh lenge
shab-e-visal bhi baqi hai yar hum bhi hain
bat-e-sharab uDaenge meinh barasne do
KHuda ke fazl ke ummid-war hum bhi hain
sharik-e-haal hain har dil-jale ki sohbat mein
jo shama roti hai to ashk-bar hum bhi hain
hamein satao na itna buto KHuda se Daro
ki ek banda-e-parwardigar hum bhi hain
nasib ranj hua jab KHushi ke din aae
KHizan-rasida-e-fasl-e-bahaar hum bhi hain
wo dam-e-gesu mein dil ko phansate hain 'agha'
jahan mein shaer-e-mazmun-shikar hum bhi hain
(2127) Peoples Rate This