Nigahon Mein Iqrar Sare Hue Hain
nigahon mein iqrar sare hue hain
hum un ke hue wo hamare hue hain
jin aaankhon mein aansu chakare hue hain
hum un ki nigahon ke mare hue hain
na KHaTken kaho kis tarah tir-e-mizhgan
jigar par hamare utare hue hain
jhaDe jo teri kafsh-e-zarrin ke zarre
falak par wo ja kar sayyare hue hain
abas jaan deti hai bulbul gulon par
ye us ruKH ke sadqe utare hue hain
kis andaz se band-e-mahram kase hain
ki joban ko un ke ubhaare hue hain
yaqin hai bala ho koi aaj nazil
wo baalon ko apne sanware hue hain
KHabar-dar hathon se jaane na paen
ye duzd-e-hina mal mare hue hain
kahe deti hain saf aankhen tumhaari
kisi ghair se kuchh ishaare hue hain
main manjdhaar mein Dubta hun ilahi
wo dil le ke mera kinare hue hain
hamesha jo bharte the dam dosti ka
wahi dushman-e-jaan hamare hue hain
nazar kar dua par KHudawand-e-alam
ki hum hath apne pasare hue hain
bhala ghair ki is mein hai kya shikayat
wahi dushman-e-jaan hamare hue hain
unhen hum ne nahla diya de ke chhinTen
ajab lutf dariya kinare hue hain
KHabar aamad-e-gul ki shayad hai 'agha'
chaman sare jhaDe bahaare hue hain
(2124) Peoples Rate This