Muddat Ke Baad Isne Likha Mere Nam KHat
muddat ke baad is ne likha mere nam KHat
meri shikayaton se bhara hai tamam KHat
ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar
aata hai koi roz mein ab subh-o-sham KHat
likkha hua hai KHas tumhaare hi hath ka
pahchanta hai KHub tumhaara ghulam KHat
tahrir un ki sina pe rakh dijiyo mere
badle jawab-e-nama ke aaega kaam KHat
likkha hai ab na likkhenge hum koi KHat tujhe
KHat aaya meri maut ka laya payam KHat
zaea na jaegi teri mehnat kisi tarah
qasid ajura deta hun chuTki mein tham KHat
aashiq-nawaziyan hain tabiat mein yar ki
likkha hai har mahine mein bhejo mudam KHat
tahrir kar ke saikaDon wade mukar gae
dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam KHat
KHat likh ke aaj Dak pe pahunchenge yar ko
pahunchaega hamara payam-o-salam KHat
'agha' nisar hojiye inam dijiye
laya hai un ka qasid-e-sarsar-KHiram KHat
(1970) Peoples Rate This