Kya Banae Sane-e-qudrat Ne Pyare Hath Panw

kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw

nur ke sanche mein Dhaale hain tumhaare hath panw

zoaf-e-piri chha gaya zor-e-jawani chal basa

ab chalen batlaiye kis ke sahaare hath panw

machhliyan bazu pe ubhrin saq-e-pa shamen banin

KHub sahab ne nikale ab to bare hath panw

fauq hire se nahin hai meri jaan yaqut ko

kyun range hain aap ne mehndi se sare hath panw

mani-o-bahzad ne mulk-e-adam ki rah li

wo kamar mutlaq na pai lakh mare hath panw

hum na kahte the ki har dam shoKHiyan achchhi nahin

aaKHirash mehndi ne bandhe lo tumhaare hath panw

hatha-pai mein bhi hum chuke na apne kaam se

wasl ki shab yar ne kya kya na mare hath panw

hai zaifi mein bhi hum ko naujawani ka KHayal

dil nahin haara hai ab tak go ki haare hath panw

ghair ki dhamki se hum Dar jaen ye mumkin nahin

aise bude bhi nahin hain kuchh hamare hath panw

madan-e-yaqut ko dariya banaya aap ne

mehndi mal kar dhoe jab dariya kinare hath panw

is buDhape mein bhi 'agha' so jawan mein ek hai

go zaifi aa gai par hain karare hath panw

(1752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Banae Sane-e-qudrat Ne Pyare Hath Panw In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. Kya Banae Sane-e-qudrat Ne Pyare Hath Panw is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem Kya Banae Sane-e-qudrat Ne Pyare Hath Panw for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download Kya Banae Sane-e-qudrat Ne Pyare Hath Panw in PDF.