Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7c909dae5979cd9cf9e82a0caae57f3a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa - Aagha Akbarabadi Poetry In English - Darsaal

KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa

KHud mazedar tabiat hai to saman kaisa

zaKHm-e-dil aap hain shorish pe namak-dan kaisa

hath wahshat mein na ponchhe to gareban kaisa

KHar-e-sahra se na uljhe to wo daman kaisa

kucha-e-yar ko dawa hai ki jannat main hun

KHuld kahte hain kise rauza-e-rizwan kaisa

usi mabud ka hai dair-o-haram mein jalwa

bahs kis baat ki hai gabr o musalman kaisa

wada-e-baada-e-athar ka bharosa kab tak

chal ke bhaTTi pe piyen jura-e-irfan kaisa

hum hue 'qais' hue 'wamiq' o 'farhad' hue

zulf-e-pur-KHam ne kiya sab ko pareshan kaisa

dur ke Dhol hain yusuf ki kahani sahab

kis ko malum hai hoga mah-e-kanan kaisa

tere qurban main itna to bata de qatil

meri gardan pe chala KHanjar-e-burran kaisa

dil ke aaine mein taswir-e-sanam rakhta hai

nahin malum ki 'agha' hai musalman kaisa

(2113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa In English By Famous Poet Aagha Akbarabadi. KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa is written by Aagha Akbarabadi. Read famous Poem KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa for youth and Student by Aagha Akbarabadi. Free Download KHud Mazedar Tabiat Hai To Saman Kaisa in PDF.