ChaDha Diya Hai Bhagat-singh Ko Raat Phansi Par
giri hai barq-e-tapan dil pe ye KHabar sun kar
chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par
uTha hai nala-e-pur-dard se naya mahshar
jigar pe madar-e-bhaarat ke chal gae KHanjar
shikasta-haal hua qaum ke habibon ka
badan mein KHushk lahu ho gaya gharibon ka
abhi to qaum ne 'nehru' ka gham uThaya tha
abhi to das ki furqat ne hashr Dhaya tha
abhi to hijr ka bismil ke zaKHm khaya tha
abhi to koh-e-sitam charKH ne giraya tha
chale hain nawak-e-bedad phir kalejon par
ki aaj uTh gae afsos naujawan rahbar
adu watan ko tashaddud se kya dabaenge
wo apne hath se fitne nae jagaenge
jo mulk-o-qaum ki dewi pe sar chaDhaenge
nisar ho ke shahidon mein nam paenge
girega qatra-e-KHun bhi jahan saputon ka
fida-e-hind wahan honge sainkaDon paida
jahan se mulk-e-adam naunihaal jate hain
numayan kar ke sitam-kash ka haal jate hain
gira ke hind mein koh-e-malal jate hain
watan ko chhoD ke bhaarat ke lal jate hain
taDap rahe hain judai mein be-qarar-e-watan
chale hain aalam-e-baala ko jaan-nisar-e-watan
(1816) Peoples Rate This