Bhagwan Kirshn Ke Charnon Mein Shardha Ke Phul ChaDhane Ko
ek prem pujari aaya hai charnon mein dhyan lagane ko
bhagwan tumhaari murat par shardha ke phul chaDhane ko
wo prem ka tufan dil mein uTha ki zabt ka yara hi na raha
aankhon mein ashk umanD aae premi ka haal batane ko
tum nand ko nain ke tare ho tum din dukhi ke sahaare ho
tum nange pairon Dhane ho bhagton ka man baDhane ko
aankhon se KHun Tapakta hai sine par KHanjar chalta hai
man-mohan jald KHabar lena dinon ki jaan bachane ko
furqat mein tumhaari qalb ke TukDe aankhon se bah jate hain
ai kirshn murari aao bhi raaton ko dher bandhane ko
phir sanwli chhab dikhla do zara phir prem ka rang jama do zara
gokul mein shyam nikal aao murli ki Ter sunane ko
updesh dharam ka de kar phir balwan bana do bhagton ko
ai mohan jald zaban kholo gita ke raaz batane ko
(1703) Peoples Rate This