Raste Sikhate Hain Kis Se Kya Alag Rakhna
raste sikhate hain kis se kya alag rakhna
manzilen alag rakhna qafila alag rakhna
baad ek muddat ke lauT kar wo aaya hai
aaj to kahani se hadisa alag rakhna
jis se hum ne sikha tha sath sath chalna hai
ab wahi batata hai naqsh-e-pa alag rakhna
kuza-gar ne jaane kyun aadmi banaya hai
us ko sab khilaunon se tum zara alag rakhna
lauT kar to aae ho tajrabon ki surat hai
par meri kahani se falsafa alag rakhna
tum to KHub waqif ho ab tumhi batao na
kis mein kya milana hai kis se kya alag rakhna
KHwahishon ka KHamyaza KHwab kyun bharen 'adil'
aaj meri aankhon se rat-jaga alag rakhna
(2015) Peoples Rate This