Ek Ek Lamhe Ko Palkon Pe Sajata Hua Ghar
ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar
ras aata hai kise hijr manata hua ghar
KHwab ke KHadshe se ab nind uDi jati hai
main ne dekha hai use chhoD ke jata hua ghar
gar zaban hoti to patthar hi batata sab ko
kis qadar TuTa hai wo KHud ko banata hua ghar
us ka ab zikr na kar chhoD ke jaane wale
tu ne dekha hi kahan ashk bahata hua ghar
ab use yaad kahun yas kahun ya wahshat
mujh ko aata hai nazar KHak uData hua ghar
thak gaya kya mere tulani safar se 'adil'
so gaya sath mere mujh ko sulata hua ghar
(1865) Peoples Rate This