Aandhiyan Gham Ki Chalin Aur Karb-baadal Chha Gae
aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae
tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae
kirchi kirchi KHwahishen aankhon mein chubh kar rah gain
zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae
main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li
manzilen aain to kyun aankhon mein aansu aa gae
tere na aane ke dukh mein shiddaten phulon ne kin
waqt se pahle hi sab gajre mere murjha gae
qaht jazbon ka paDa viran se hain dil ke nagar
shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae
dawa chahat ka nahin par jab use socha 'uruj'
phul KHushbu rang tare aankh mein lahra gae
(1319) Peoples Rate This