Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_937233af434cb6e5bb4392dd109732e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se - A G Josh Poetry In English - Darsaal

Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se

har mulaqat mein lagte hain wo begane se

faeda kya hai bhala aison ke yarane se

kuchh jo samjha to mujhe sab ne hi aashiq samjha

baat ye KHub nikali mere afsane se

zindagi apni nazar aane lagi sirf sarab

kabhi guzre jo dil-e-zar ke virane se

ek pal bhi na Thahar paoge ai sang-zano

koi patthar kabhi lauT aaya jo diwane se

tum ko marna hai to marna mere gul hone par

shama kahti rahi shab-bhar yahi parwane se

phir na dekha tujhe ai 'josh' sukun se baiTha

jab se uTTha hai tu is shoKH ke kashane se

(2524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se In English By Famous Poet A G Josh. Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se is written by A G Josh. Read famous Poem Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se for youth and Student by A G Josh. Free Download Har Mulaqat Mein Lagte Hain Wo Begane Se in PDF.